Advance Course Urdu 14th year

Tafseer ke liye zaroori uloom wa usool, tafseer mein gumraahi ke asbaab, tafseer ke na qaabil e etabaar maakhaz, tafseer bil raayi aur sura e Balad, sura e shams aur sura e Ibrahim ki chaar aayaton ka lafzi wa muhaawari tarjama aur mukhtasar tashreeh aur hadees ke tahat 5 aamaal ki duaayein, 2 aamaal ke aadaab aur 4 ahaadees ka lafzi wa muhaawari tarjama aur tashreeh, sunan Tirmizi aur Imaam Tirmizi ka t’aaruf, aakhirat aqlan bhi zaroori hai, jaza wa saza dunya mein kyun nahin? Aakhirat ki zindagi par imaan laane ki asraat, usool arba’a, qur’aan, hadees, ijmaa, qayaas, taqleed ki haisiyat wa haqeeqat, irtidaad aur us ki qismein, daabatul ard ka zameen se nikalna, qayaamat ki alaamat; Yaman ki aag, momineen ki maut, etikaaf ke masaail: sharaait, sunnatein, makroohaat, mufsidaat, namaaz e tasbeeh, miraas ke masaail, tasweer ke ahkaam, ijaarah ke masaail, seerat wa taareekh par 11 asbaaq khilaafat e usmaaniya aur us ki khususiyaat ke saath aur aasaan deen mein mukhtalif mauzoo par 10 tarbiyati asbaaq, Arabi zabaan mein mukhtalif qawaaid aur un ki tamreen ke liye 15 asbaaq.
In stock
SKU
DB-41
₹500.00
Yeh nisaab padh kar bachche tafseer ke zaroori usool wa qawaaid, tafseer ki kitaabon aur mufassireen ka ta’aruf, sura-e-qadr se sura-e-fajr tak tamaam sooraton ka tarjama aur mukhtasar tashreeh, 53 aamaal ki duaayein aur 21 aamaal ke aadaab, 20 ahaadees ka lafzi wa muhaawari tarjama wa tashreeh, sihaah sitta ke musannifeen ke haalaat, islaam ke baare mein tafseeli aqaaid, namaaz, tijaarat, medical insurance, juwa, janaaze ke ahkaam, nikaah talaaq, iddat, meeraas wagaira ke zaroori masaail, 36 naamwar ulama-e-kiraam ke haalaat, khilaafat e raashida, bani umayya, abbaasiya, usmaaniya ka ta’aruf, arabi bolne aur likhne ki mashq seekh lega.
Write Your Own Review
You're reviewing:Advance Course Urdu 14th year