Advance Course Urdu 13th year

Qur’aan e kareem ka tadreeji nuzool aur maujooda tarteeb, qur’aan e kareem mein bayaan kardah uloom wa mazaameen ko baar baar dohraane ki hikmat, shaan e nuzool aur us ki haqeeqt, makki wa madni aayatein, Urdu zabaan mei 2 kutub tafseer ka t’aaruf, sura e duha, sura e lail aur sura e kahaf ki chand aayaat ka lafzi wa muhaawari tarjama aur paigaam, 7 aamaal ki duaayein aur 2 aamaal ke aadaab, 5 ahaadees ka lafzi, muhaawari tarjama aur tashreeh, Imaam Abu Dawood aur Sanan Abu Dawood ka t’aaruf. Azmat-e-sahaaba, mushaajraat e sahaaba r.z. halaal ko haraam aur haraam ko halaal, samajhna, kaahin aur najoomi ki baaton ko sachcha jaanna, Allah Ta’ala ki rahmat se na ummeed hona, Allah Ta’ala ke azaab se be khauf hona, kalimaat e kufr kehna, tauba aur us ki qabooliyat ka waqt, aaftaab ka magrib se tulu hona. Rahan ke masaail, nikaah, mahar aur wali ke masaail, jode ke intikhaab mein meyaar wa deendaari ho, kin aurton se nikaah karna haraam hai? talaaq wa halaala ke masaail, talaaq dene ka tareeqa, alfaaz e talaaq aur teen talaaq, ruj’at, iddat aur razaa’at ke masaail, imaamat ke masaail aur imaamat wa iqtidaa ki sahraait, namaaz istisqa aur salaatut tauba. Seerat wa taareekh par 11 asbaaq khilaafat e abbasiya aur us ki khususiyaat ke saath, islaami tarbiyat par 10 asbaaq, Arabi zabaan par 15 asbaaq.
In stock
SKU
DB-40
₹500.00
Yeh nisaab padh kar bachche tafseer ke zaroori usool wa qawaaid, tafseer ki kitaabon aur mufassireen ka ta’aruf, sura-e-qadr se sura-e-fajr tak tamaam sooraton ka tarjama aur mukhtasar tashreeh, 53 aamaal ki duaayein aur 21 aamaal ke aadaab, 20 ahaadees ka lafzi wa muhaawari tarjama wa tashreeh, sihaah sitta ke musannifeen ke haalaat, islaam ke baare mein tafseeli aqaaid, namaaz, tijaarat, medical insurance, juwa, janaaze ke ahkaam, nikaah talaaq, iddat, meeraas wagaira ke zaroori masaail, 36 naamwar ulama-e-kiraam ke haalaat, khilaafat e raashida, bani umayya, abbaasiya, usmaaniya ka ta’aruf, arabi bolne aur likhne ki mashq seekh lega.
Write Your Own Review
You're reviewing:Advance Course Urdu 13th year